Thursday, August 27, 2009
Arrived as poet!
You know you are good when people start "using" your poetry. I couldn't hide my pleasure when friend harsha sent the link below. Some Mr. piyush has been using my trivenis (last two on the page).
pYUSH.....YeH
............
.....main bhi ek gul hoon, mere andar bhi gulzaar hai
kagaz pakda, kalam uthayee aur kaside likh diye
raat khuda ne samjhaya, sirf ek banaya hai usne.
.....aaine mein kuch kharabi thi
dikhlata na tha surat-ien asal
naram-dil tha, bechara aainaa

Sunday, August 23, 2009
Uske Aane Se!
Have been away for long. It does happen and will happen. It is one thing to be a blogger and other being a committed "serious" blogger. No point pretending the latter!
As there are reports of 10th Anniversary of "Blog" being celeberated, felt compelled to put something new on the blog. So here is my latest poem - "Uske Aane Se".
Uske Aane Se
berang ghar ki deewarein thi
sooni-sooni, silee-silee
har dastak par darwaze par
ban-ti mit-ti shakalein kori
ghis-ghis kar un deewarein ko
thoda gora rang kharocha
phir rogan aur choona lekar
rang daala kuch, chehre jaisa
dhoop dupahari alsaayee jab
khila wo chehra kaaya-kaaya
maatam waali seelan utari
dahakaya ghar, mehakaya
sisak raha tha ek arse se
lambi, sooni raat-on mein
naach utha man, mor ho jaise
saavan ya fir bhaadon mein
wo hi ghar hai, wo hi dehli
aur deewarein ab bhi wo
badla ye ki, darwaze par
har dastak par hansti wo!
p.s. : It seems about a decade ago, one firang jokingly split another firang's term 'weblog' into 'we blog', that's how the term 'blog' was born!

Subscribe to:
Posts (Atom)